DefinePK hosts the largest index of Pakistani journals, research articles, news headlines, and videos. It also offers chapter-level book search.
2021-06-22 09:30:13
00:05:04
Urdu
shayari ghalib mirza ghalib corona covid covid_19 pandemic whatsapp status waseem barelvi poetry letters urdu
Video content is provided via the
YouTube platform.
All rights and ownership belong to the original content creator.
Source channel:
Rekhta
-Jannat se Mirza-
Firozuddin! Har-chand(although) ki tum faiz-gustari(Beneficence)
men apne qibla-gaah(respectful form of address for elders) se do
qadam saabiq(preceding, former) ho, magar ye likhne men Khissat
kyun kii ki, jo raqam az-raah-e-mohabbat (by the way of love, with
love) bhej rahe ho, uska kya karun? Tum ab bhi Galib ko zinda
tasawwur(imagine) karte ho? Miyan! Tum jis Galib ko jaante the, vo
main nahin, ki wajood(existence) mera ba-misl-e-seemurg (like an
imaginary/mythical bird – king of all birds in eastern tales) sirf
taqqul (conception) men hai. Yani kahne ko hun, dekhne ko nahi //
albatta ek qaalib-e-be-rooh (heart without soul) pada hua hai aur tum
use Galib par qayaas karte ho // rupaye jo aage dhare pade hain / inka
kya karun? ahl-e-khaana(wife and children – wife alone in case of
Mirza Ghalib) ko chane khilaun ki khud ke liye kafan khareed lun?//
ye kaisi waba(pandemic) hai, ke shahar ko shahar-e-
khamoshan(cemetery, silent city) / aur ahl-e-shahar(city dwellers) ko
ahl-e-quboor(one who live in graves) bana rahi hai // kal jo fulaan ke
janaze(funeral bier) men tha/ aaj uska laasha(dead body) be-janaza
utha // basti men hoo ka aalam hai / kahin se girya(Weeping,
lamentation) sunai deta hai to khidkiyan gharon ki khulti hain // log
aalam-e-harasaani-o-pareshani (in the state of dread and terror) men
mustafsir (scattered) ek dusare se ho jate hain // “kudaam? Kudaam?”
(which, who, what)// sunte hain bazaziyon ne dukaanen apni badha
kar / takhtiyan lagwai hain, ki kafan-o-kafoor(shroud and camphor)
mafqood-o-nabood(not available) hai // peer, faqeer, rind, aubaash
(bad, dissolute fellow) ab apne anjaam ko pahunch rahe hain // kal tak
jo chaandi ke auraaq (pages) men / lipte hue luqme khaate the aaj
khud luqma-e-ajal (morsel of death) ban rahe hain//
is rind ka (drunkard) ye haal hai, / ki bazaar band to sharaab band /
sharaab band to saansen band, / rindon men shumaar nahi to kahe ko
zindon men shumaar karte ho? // banda-parwar(Sir, A term of
Respect) // gumaashte (agent, representative) ko apne ulte paon
wapas bhej do / ki ab ye raqam mere kisi kaam kii nahin //
paalki aangan men padi dhool chaat rahi hai. // kahaar mafqood-ul-
khabar (of whom no information is forthcoming) / ki unke marg-o-
zeesht(life and death) kii koi ittila nahin. Kaifiyat vo nahi ki gali-
qasim jaan tak koi ja kar kalwaar ko ghar se nikaal lae // subh ki roti
mafqood (not to be found) // shaam ki sharaab mauqoof (dismissed,
suspended)// is par aalam ye ke ballimaraan men kushton ke pushte ( a
heap of corpses) lag rahe hain. //
miyan! // main ne aarzoo-e-marg (desire of death) men zindagi
guzaari. // ab khauf-e-marg (fear of death) se duaaen hayaat ki maang
raha hon, // ki muroor-e-ayyaam(passage of time, days) ke saath ranj-
o-azaab ka ye arsa shayad tal jaye, // koi surat is faqeer-e-aseer kii /
qabr men saamne ki nikal aaye. // doshanba (Monday) ko ghar walon
ne gusl-e-sehhat(bath after recovery from illness) ke liye paani
rakhwaya. // main ne poocha takhta-e-gusl(shower seat) kahan hai? //
gassaal(washer) kahan hai? / ye suna to munh apna dhaanp kar rone
lage. //
akhbaar-e-shar (evil news) se maloom hota hai ki / gulshan-e-rekhta
(garden of Urdu) be-tahasha ujad raha hai. // kaise kaise yakta-e-
rozgaar (unique, incomparable) / apne apne fan men dilawar-o-
sikandar (brave and courageous) tah-e-khaak pinhaan (buried) ho
gaye. // hawa-e-ajal (death breeze) ne karobaar is chaman ka / is taur
darham-barham (disorganized, disarranged) kar diya ki jahan khaak
thi / wahan gulaab pade hain, / jahan bulbulen nagma-sanj(singer)
thin, / wahan chogad(the small screech owl) bol rahe hain, / gulshan-
e-rekhta ki khaak se kab aisi suraten numood(appearance, display)
paati hain. // kya ahl-e-naqqaad (critics), kya muhaqqiq(researcher),
kya sukhanwar, // bahr-e-ilm(sea of knowledge) ke
shanawar(swimmer), / nukta-bini(criticism), nukta-rasi-o-nukta-
pardazi (subtlety and ingenuity)/ se bahrawar (companion) apni apni
bisaat jhaad ke uth gaye. // meer ki ashk-shuui (consolation) karun ki
uske ‘ sher-e-shor-angez’(name of a book on Mir Taqi Mir by Shams
ur Rahman Farooqi) ka nukta-daan(sagacious), chala gaya // ya khud
ko pursa dun ki mere fan ka nukta-nawaaz (one who appreciates) uth
gaya. // ek mahshar (judgement day) barpa hai, aur tum kahte ho ki
aise sadme men / jab ye banda-e-aajiz (helpless man)
hizyaan(delirium) bakne se maazoor hai, // unki tareekh-e-wafaat
(date of death)kahun?// kahun to kyun kar kahun? Jism se rooh nikalti
hai, / aur tum kahte ho madda-e-tareekh nikalun. // jigar munh ko aata
hai, / tum kahte ho saans lun. // tumhari khairiyat tumhare
gumashaate(agent, representative) se maloom hui. // mera haal
bayaan karne ke liye, ye khat tum tak pahunch jaayega, is men
taraddud hai ….
Najaat ka talib
Ghalib
Script by: Shafaq Sopuri
voice artist: @rjfahadhussain
#Corona #Covid_19