DefinePK

DefinePK hosts the largest index of Pakistani journals, research articles, news headlines, and videos. It also offers chapter-level book search.

Mohabbat | Nazm by Obaidullah Aleem | Rekhta Studio


Video content is provided via the YouTube platform. All rights and ownership belong to the original content creator.
Source channel: Rekhta

▶ Watch on YouTube
Description

Obaidullah Aleem is a well-known Urdu shayar. He is equally known for his ghazals as well as his nazms. This nazm is a glimpse of the genius of this extraordinary poet!

یں جسم و جاں کے تمام رشتوں سے چاہتا ہوں
نہیں سمجھتا کہ ایسا کیوں ہے
نہ خال و خد کا جمال اس میں نہ زندگی کا کمال کوئی
جو کوئی اس میں ہنر بھی ہوگا
تو مجھ کو اس کی خبر نہیں ہے
نہ جانے پھر کیوں!
میں وقت کے دائروں سے باہر کسی تصور میں اڑ رہا ہوں
خیال میں خواب و خلوت ذات و جلوت بزم میں شب و روز
مرا لہو اپنی گردشوں میں اسی کی تسبیح پڑھ رہا ہے
جو میری چاہت سے بے خبر ہے
کبھی کبھی وہ نظر چرا کر قریب سے میرے یوں بھی گزرا
کہ جیسے وہ با خبر ہے
میری محبتوں سے
دل و نظر کی حکایتیں سن رکھی ہیں اس نے
مری ہی صورت
وہ وقت کے دائروں سے باہر کسی تصور میں اڑ رہا ہے
خیال میں خواب و خلوت ذات و جلوت بزم میں شب و روز
وہ جسم و جاں کے تمام رشتوں سے چاہتا ہے
مگر نہیں جانتا یہ وہ بھی
کہ ایسا کیوں ہے
میں سوچتا ہوں وہ سوچتا ہے
کبھی ملے ہم تو آئینوں کے تمام باطن عیاں کریں گے
حقیقتوں کا سفر کریں گے


Main jism-o-jaan ke tamaam rishton se chaahta hun
Nahin samajhta ke aisa kyun hai
Na khal-o-khad ka jamaal usmein
Na zindagi ka kamaal koi
Jo koi usme hunar bhi hoga to mujhko iski khabar nahin hai
Na jane phir kyun main waqt ke daayron se baahar kisi tasavvur mein ud raha hoon
Khayaal mein khwab-o-khalwat-e-Zaat-o-jalwat-e-bazm mein shab-o-roz
Mera lahoo apni gardishon mein usi ki tasbeeh padh raha hai
Jo meri chaahat se bekhabar hai
Kabhi Kabhi wo nazar churakar qareeb se mere yun bhi guzra jaise wo ba-khabar hai mujhse
Dil-o-nazar ki hikaayatein sun rakhi hain usne
Meri hi soorat wo waqt ke daayron se bahar kisi tasavvur mein ud raha hai
Khayaal mein khwaab-o-khalwat-e-Zaat-o-jalwat-e-bazm mein shab-o-roz wo jism-o-jaan ke tamaam rishton se chaahta hai
Magar nahin janta ye wo bhi ke aisa kyun hai
Main sochta hoon wo sochta hai
Kabhi mile hum to aaine ke tamaam baatin ayaan karenge
Haqeeqaton ka safar karenge

Subscribe & Click the notification bell :
https://www.youtube.com/rekhtashayari
https://www.youtube.com/c/jashnerekhtaoffical

Connect with us -

Visit the largest online resource for Urdu poetry and literature-
https://www.rekhta.org

Rekhta organises a 3-day annual Urdu Festival "Jashn-e-Rekhta" -
Website : https://www.jashnerekhta.org

Follow us on Social Media -

Instagram : https://www.instagram.com/Rekhta_Foun...

Facebook : https://www.facebook.com/RekhtaOfficial

Twitter : https://www.twitter.com/Rekhta