DefinePK hosts the largest index of Pakistani journals, research articles, news headlines, and videos. It also offers chapter-level book search.
2017-07-21 17:30:01
00:02:13
Urdu
best poetry in urdu music festival Jashn-e-Rekhta love shayari poetry best urdu shayari Pakistani poetry urdu poetry gulzar nazam غزل nasam urdu nazam gulzar Ashok Lal गुलज़ार Urdu gazal ग़ज़ल urdu festival उर्दू कविता jagjit singh ghazals shayari sad poetry in urdu naat Subodh Lal जगजीत सिंह की गज़लें jashn jashn e rekhta ghazal mirza ghalib poetry नज़्म Rekhta
Video content is provided via the
YouTube platform.
All rights and ownership belong to the original content creator.
Source channel:
Rekhta
Lyrics:
Kisi guman ka saya na shak ki parchhaai
Sarab hai na jharoka nazar ki rahon mein
Yaqin hai ki andhera faqat andhera hai
Fareb-e-nur koi bhi nahin nigahon mein
Na intizar ke mani na sabr ke paiman
Kisi disha mein ufaq bhi nazar nahin aata
Siyahi kali sahi raushnai hai phir bhi
Na aaye gar koi waraq-e-sahar nahin aata
Andhera jitna jawan hai bharose-mand utna
Usi ke dam se charagh-e-KHayal raushan hai
Irade dil ki tapish le ke jagmagate hain
Rah-e-jawab pe husn-e-sawal raushan hai
Chalo sitaron ko khojen jala ke mishal-e-dil
Ufaq nahin hai to jugnu qatar band karen
Sahar ki chah jawan hai to DhunDh len suraj
Nahin mile koi suraj kiran kiran se bunen
Yaqin hai ki andhera faqat andhera hai
Siyahi kali sahi raushnai hai phir bhi
Irade dil ki tapish le ke jagmagate hain
Rahe jawab pe husn-e-sawaal raushan hai
For more information, connect with us:
Website: http://rekhta.org
http://www.jashnerekhta.org/
Facebook: https://www.facebook.com/Rekhtaforum
Twitter: https://twitter.com/Rekhta
Youtube: https://www.youtube.com/rekhtashayari
Rang-e-Rekhta: http://rangerekhta.org/ #RekhtaShayari